Apne pankhon ko phailaaye
Main door talaq udtaa rahaa
Main der talaq udtaa rahaa
Ghoomtaa rahaa uskee talaash mein
Neeche haree vasundhara par
Upar neele aakaash mein
Main dhoondhtaa rahaa usko
Milne kee ummeed mein
Milne kee ummeed lagaaye
Main dheere dheere
Sab kuch bhooltaa rahaa
Main jhooltaa rahaa
Sapnon kee duniyaa mein
Main sammohit saa
Uske peeche chaltaa rahaa
Main paglaayaa saa
Soch raha usko bus
Main ghabraayaa saa
Maangtaa rahaa usko bus
Main ...
-Aditya Rohatgi
No comments:
Post a Comment