Aksar toot ke bikhartaa hai woh aankhon mein
Aksar ek saayaa lehraataa hai mere khwaabon mein
Tu paas naheen mere ye maantaa hoon main
Par tera hee eshaas paayaa hai maine apnee saanson mein
Yaad teree aaye to baarish hotee hai palkon ke aangan mein
Gaalon se beh kar ek nadiya kho jaatee hai daaman mein
Teree yaaden teree baaten miltee hain mujhko shaamon mein
Tera chehraa dikhaee detaa hai mujhko yaadon mein
Tere aane kee umeed uthaatee hai mujhko raaton mein
Tere saath hone ka ehsaas hotaa hai tanhaaiyon mein
-Aditya Rohatgi