Monday, February 11, 2008

Bharamit

Doondh raha thaa shayad tumko
Naheen ... shayad koi aur thaa

Dekh raha the shayad tumko
Naheen ... shayad koi aur thaa

Shayad de thee aawaaz tumko
Naheen ... shayad koi aur thaa

Are haan mile the wahan par tumse
Naheen ... shayad koi aur thaa

Koi naheen thaa yaadon mein meri
Naheen ... shayad koi aur thaa

Abhi yaheen tha shayad koi
Arey naheen main naheen woh to koi aur thaa

-Aditya Rohatgi

Zaroorat

Dhoond kar laya hoon aaj teri yaadon ko us band kamre se
Jahan saalon pehle rakh kar bhool gaya thaa un haseen lamhon ko

Haan wohi kamra jahan par aksar cheezein chod dee jaati hain
Kyonki aaj unki zarorat naheen rehti, lekin shayad kaam aa jayein kabhie

Haan aaj mujhe zaroorat hai tumhari aur isliye us band kamre ko khola thaa maine
Chahta hoon ek mulaquaat aur chand lamhe tumhari zindagi ke

Kuch pal bitanaa chahta hoon aaj tumhare saath main
Aur phir wapas rakh doonga usi kamre mein kuch nayee yaadein jor kar

... Shayad phir zarorat pade kabhie

-Aditya Rohatgi

Jo ho gaya so accha hai

Num aankhon se usko kehte hue alvida maine
Aaj band kar diya hai apne jeewan ke ek panne ko

Us panne mein hain kuch khoobsoorat yaadein
Aur kaanton se lipte hue kuch lamhaat

Waheen par chod raha hoon kuch sawal tumhare waaste
Jinka jawab yadi na mile to accha hai

Jo meelon door rehte hue bhee paas thaa mere
Aaj mere paas hokar bhee rahe koson door to accha hai

Kuch ankahee baaton ko bhee chod kar aagaya hoon main
Ye mat poochna ki kyon khamosh reh gaya hoon main

Main naheen chahta ki tum phir palto us panne ko
Door ja raha hoon main ab door hee rahoon to accha hai

Kabhie miloge to anjaan ban jaoonga main
Aur tum soch lena ki jo ho gaya so accha hai

-Aditya Rohatgi