Saturday, May 24, 2008

Ek ichha ..

This is another work by JS a.k.a. Dushman .. great work again .. you are really doing great .. keep it up.

Ek ichha ..

Ho jaatee agar dil ki har muraad pooree
Na hota ghum na hotee yeh dooree
Beh jaate samandar aasuoon ke
Ghum ke naheen khushiyon ke

Sailaab aa jaataa ashkon kaa
Beh jaata samandar jazbaaton kaa
Dabe hue har khayaal kaa
Jise anadar samaye baithe rahe
Din maheene saal ka naheen
Hisaab thaa yeh janamon kaa

Pooraa kar lene do yeh khwaab aankhon kaa
Jo soye naheen hain kai raaton se
Piya hai ghoont jisne lahoo kaa
Kasoor inkaa naheen is dil ka thaa
Kiye har jatan duniyaa waalon ne
Samjhaanaa chaha par bekaar thaa

Mat samjho ise na-samajh doston
Jo maang baitha hai yeh dil
Woh to khudaa thaa
Har dil mein jo bastaa hai
Har ghar mein woh rehtaa hai
Phir kya galat yeh mera rishtaa hai

-JS

No comments:

Post a Comment