Thursday, March 20, 2008

Parivartan

Yaad karta hoon tujhko aur bhool jaana bhee chahtaa hoon
Kya karoon main ki paas hoon tere aur door bhee ho jaana chahtaa hoon
Kabhie dost banna chahtaa thaa aaj dushman bhee ban jaana chahtaa hoon
Aye sangdil - kya kahoon tujhe ki tera sanam thaa kabhie aaj patthar ban jaana chahtaa hoon
Kabhie sochna ki kya the hum ek doosre ke waaste aur ab tere liye main kya ban jaana chahtaa hoon
Jeewan mein kabhie holi naheen kheli humne aur aaj rangon mein doob jaana chahtaa hoon

-Aditya Rohatgi

1 comment:

  1. Finally I have succeeded in gathering words I wanted to post just4u:)

    Sochte hi rehte hai ki kya likhe hum
    har baar hota hai andaaz naya
    aur har baar chaunk jate hain

    Sochte hi rehjate hain ki kya likhe hum
    har baar bas lagta hai apna sa yeh gum
    jo kahin na kahi chipa hota hai un shabdo mai
    doobjate hain jahan, kho jate hain hum

    Hota hai har lafz napaa tola
    na ek lafz jyada na ek lafz kam
    Tabhi toh hogae fidaa is shaayar pe hum....

    Sochte hi rehte hai ki kya likhe hum
    har baar hota hai andaaz naya aur
    har baar chaunk jate hain hum

    ReplyDelete